LYRICS
Kash main Door e Payambar main Uthaya jata
Bakhuda Qadmoon main Sarkar ke paya jata
Sath sarkar ke gazhwaat main shamil hota
Un ki nusrut main lahu mera bahaya jata
Kash Main…
Rait ke zaroon main Allah Badal deta mujhay
Phir mujhy Rahe -e- Muhammad main bichaya jata
Kash main..
Khak ho jata main sarkar ke qadmoon ke taley
Khak ko khak-e-madina main milayaa jaata
Kash main..
Mil ke sab log mujhy mitti se ghara ker dain
Phir mujhy masjid-e-nabvi main lagaya jata
Kash main..
Kash ah kash main hota koi ase lakrhii
Jis ko sarkar ke member main lagaya jata
Kash main..
Un ke rozay ke dar o Bam sajhanay ke liya
Rozano main mere ankhon ko lagaya jata
Kash main..
Laya jata darbar main asseroon ki tarah
Hukam per main un ke azad karaya jata
Kash main..
Utarta main kise naat ke misray ban ker
Rooh baruh un ke main un ko he sunaya jata
Kash main..
Hoty us door ka qisa koi Noor-O-Farhan
Aj ke door main bachon ko parhaya jata
Bakhuda Qadmoon main Sarkar ke paya jata
Kash main Door e Payambar main Uthaya jata