Praise of God as the One Creator of a system that runs in balance and harmony, recited in the voice of Atif Aslam.

LYRICS

Koi toh hai jo nizaam-e-hasti chala raha hai
Wohi Khuda hai
Wohi Khuda hai
Wohi Khuda hai…

Koi toh hai jo nizaam-e-hasti chala raha hai
Wohi Khuda hai
Koi toh hai jo nizaam-e-hasti chala raha hai
Wohi Khuda hai

Dikhaai bhi jo na de
Nazar bhi jo aa raha hai
Wohi Khuda hai.. Wohi Khuda hai..
Wohi Khudaa hai.. Wohi Khuda hai..

Nazar bhi rakhe, samaa’tein bhi
Woh jaan leta hai, neeyatein bhi
Jo Khana-e-La’shaoor mein jagmaga raha hai
Wohi Khuda hai.. Wohi Khuda hai..
Wohi Khudaa hai.. Wohi Khuda hai..

Talash usko.. na kar butoun mein
Woh hai badalti hui rutoun mein
Jo din ko raat aur raat ko din bana raha hai
Wohi Khuda hai.. Wohi Khuda hai..
Wohi Khudaa hai.. Wohi Khuda hai..

Koi to hai jo (Koi to hai jo)
Nizaam-e-hasti (Nizaam-e-hasti)
Chala raha hai (Chala raha hai)
Wohi Khuda hai (Wohi Khuda hai)

Dikhaai bhi jo na de
Nazar bhi jo aa raha hai
Wohi Khuda hai.. Wohi Khuda hai..
Wohi Khudaa hai.. Wohi Khuda hai..

Allaahumma Salli’Ala Muhammadin
Allaahumma Salli’Ala Muhammadin
Wa’Ala Aalihi Wa Sahbihi Wa Sallim
Allaahumma Salli’Ala Muhammadin
Wa’Ala Aalihi Wa Sahbihi Wa Sallim

Auto Refresh and Link Loop
Categories: HamdUrdu

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *